Faiz Ahmed Faiz poetry in Urdu, one of the most celebrated and influential poets of the 20th century, was born on February 13, 1911, in Sialkot, which is now part of Pakistan. He is considered a towering figure in Urdu poetry and is known for his powerful and thought-provoking verses that continue to resonate with people across borders and generations.
Faiz Ahmed faiz poetry in urdu 2 lines
Faiz Ahmed Faiz poetry in Urdu – Read the best collection of Faiz Ahmad Faiz Urdu Ghazal Shayari at Abpoetry.
دونوں جہان تیری محبت میں ہار کے
وہ جا رہا ہے کوئی شب غم گزار کے
فیض احمد فیض
Dono jahan teri mohabbat mein haar ke
Woh ja raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
– Faiz Ahmed Faiz
کر رہا تھا غم جہاں کا حساب
آج تم یاد بے حساب آئے
فیض احمد فیض
Kar raha tha gham jahan ka hisaab
Aaj tum yaad be-hisaab aaye
– Faiz Ahmed Faiz
دل ناامید تو نہیں ناکام ہی تو ہے
لمبی ہے غم کی شام مگر شام ہی تو ہے
فیض احمد فیض
famous faiz ahmed faiz poetry in urdu
Dil na-umeed to nahi, nakam hi to hai
Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
– Faiz Ahmed Faiz
اور بھی دکھ ہیں زمانے میں محبت کے سوا
راحتیں اور بھی ہیں وصل کی راحت کے سوا
فیض احمد فیض
Aur bhi dukh hain zamanay mein mohabbat ke siva
Rahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siva
– Faiz Ahmed Faiz
اک طرز تغافل ہے سو وہ ان کو مبارک
اک عرض تمنا ہے سو ہم کرتے رہیں گے
فیض احمد فیض
Ek tarz-e-taghafuul hai so woh un ko mubarak
Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge
– Faiz Ahmed Faiz
Best faiz ahmed faiz poetry in urdu
نہیں نگاہ میں منزل تو جستجو ہی سہی
نہیں وصال میسر تو آرزو ہی سہی
فیض احمد فیض
Nahi nigaah mein manzil to justuju hi sahi
Nahi wisaal munsar to aarzu hi sahi
Faiz Ahmed Faiz
وہ بات سارے فسانے میں جس کا ذکر نہ تھا
وہ بات ان کو بہت نا گوار گزری ہے
فیض احمد فیض
Faiz ahmed faiz poetry in urdu text
Woh baat saare fasane mein jiska zikr na tha
Woh baat un ko bohat na-gawar guzri hai
Faiz Ahmed Faiz
تمہاری یاد کے جب زخم بھرنے لگتے ہیں
کسی بہانے تمہیں یاد کرنے لگتے ہیں
فیض احمد فیض
Tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
Kisi bahane tumhe yaad karne lagte hain
– Faiz Ahmed Faiz
”آپ کی یاد آتی رہی رات بھر”
چاندنی دل دکھاتی رہی رات بھر
فیض احمد فیض
Aap ki yaad aati rahi raat bhar”
Chandni dil dikhati rahi raat bhar
– Faiz Ahmed Faiz
کب ٹھہرے گا درد اے دل کب رات بسر ہوگی
سنتے تھے وہ آئیں گے سنتے تھے سحر ہوگی
فیض احمد فیض
Kab thehre ga dard ai dil, kab raat basar hogi
Sunte the woh aayenge sunte the sehri hogi
– Faiz Ahmed Faiz
زندگی کیا کسی مفلس کی قبا ہے جس میں
ہر گھڑی درد کے پیوند لگے جاتے ہیں
فیض احمد فیض
Zindagi kya kisi maflis ki qaba hai jis mein
Har ghadi dard ke pyaunde lage jaate hain
– Faiz Ahmed Faiz
آئے تو یوں کہ جیسے ہمیشہ تھے مہربان
بھولے تو یوں کہ گویا کبھی آشنا نہ تھے
فیض احمد فیض
Aaye to yun ke jaise hamesha the meharban
Bhule to yun ke goya kabhi aashna na the
– Faiz Ahmed Faiz
مقام فیضؔ کوئی راہ میں جچا ہی نہیں
جو کوئے یار سے نکلے تو سوئے دار چلے
فیض احمد فیض
Maqaam Faiz koee raah mein jacha hee naheen
Jo kho gai so kho gai, jo baaqi hee naheen
– Faiz Ahmed Faiz
گر بازی عشق کی بازی ہے جو چاہو لگا دو ڈر کیسا
گر جیت گئے تو کیا کہنا ہارے بھی تو بازی مات نہیں
فیض احمد فیض
Gar baazi-e-ishq ki baazi hai jo chaho laga do dar kaisa
Gar jeet gaye to kya kehna, hare bhi to baazi maat naheen
– Faiz Ahmed Faiz
ہم پرورش لوح و قلم کرتے رہیں گے
جو دل پہ گزرتی ہے رقم کرتے رہیں گے
فیض احمد فیض
Hum parwarish-e-loh-o-qalam karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge
– Faiz Ahmed Faiz
”آپ کی یاد آتی رہی رات بھر”
چاندنی دل دکھاتی رہی رات بھر
فیض احمد فیض
Aap ki yaad aati rahi raat bhar”
Chandni dil dikhati rahi raat bhar
Faiz Ahmed Faiz
Tags: Heart Touching Poetry, 2 lines poetry, New Best Poetry in Urdu 2 Lines
♥You Might also Like ♥